ASSALAM -O-ALIKUM
Forex training classes main hum apko khush amdeed kehte hain
INDEX
#Defination of forex #What is forex? #What is broker? #How can broker earn?
#How many types of forex? #What is the basic of forex? #What we do in forex?
#What is trader? #What is equity? #What is order? #Types of order? #What is tp or sl? #What is swap? #What is pip?
#What is pivot point? #What isBreakout? #What is scalping? #What is spread? #What is long short? #What is lots? #What is leverage? #What is margin? #What is free margin?
1.Defination of Forex
Lafz Forex Darasal ( Foreign And Exchange ) Sa Mil kar Bana Kar, Jis Kai Lafzi Meaning Currencies Kai Exchange Karnay Kai Hein,Forex Ko 1971 Main Qaim Kiya Gaya.Is Ki Daily Market yani Iss Sa Daily Honay Wala Business 5 Trillion Dollars USD Daily Ka Hota Hai Yani is market main daily 5 trillion dollars daily move hote hein. Forex Ki Zarorat Is Wajha Sa Paish Aayi Kyu Kai Pehle Jab Koi Kisi Dosri Country Main Jata Tha To Wahan Per Un Ko Currency Support Nahi Hoti Thi Aur Behas Bi Bohat Zyada Chalte Rehti Thi Kai Dollar Zyada Value Main Ya EUR Ki To In Tammam Matters Ka Solution 1971 Main Nikal Lia Gaya Jo Kai Forex Hai.Forex Currency Value Set Karta Hai,Kisi Mulk Ki Currency Demand Sa Yeh Differene Nikal Kar Decide Karta HAi.
Factors On Currency Values
Country Employement, Country Progress, Industries, Country Future Planing, Currency Policies, Country Services, Country Export Quality And Natural Materials ( Like Gold, Silver, Iron, Copper , Oil, Medicine Etc ) Ager China Main USA Kai Log Shopping Karein Gai Online ya Offline To Wo Log Dollars Dai Karein Gai, Aab China kai logo ko jab Chinies yuan chahiyeh hoongai, to wo dollars USA main dai gai ya open market main dein gai foreign and exchange ko ya world bank ko to un ko wo log dollars exchange kar kai dein gai.jo currency zyada chalati hai ya jis ki demand market main zyada hoti hai to wo currency high value aur stable hoti hai lakin koi bi currency zyada dair tak aik jaisi nahi rehti.
2.What Is Forex Trading ?
Currencies Ki Khareed or Faroog Ko Trading Kehte Hein jo online ki jae.
3.What Is Broker ?
Forex Investment Website Jo Hamari Amount Ko Hold Karay Aur Hum Ko Forex Karnay Kai Liye Services Dai Wo Broker Kehlati HAi
4.How can Broker Earn ?
Broker Kis Tarha Sa Earning KArta Hai Aur Uss Ki Source Of Income Kya Hoti Hai ? Ya Wo Humein Forex Karnay Kai Liye Platform Kyu Daita Hai Aur Ya Forex Broker Website Kai Admin Ka Faida Kiya Hai ? Forex Broker Hamaein Services Provide Karte Hein To Badlay Main Hum Logo Sa Wo Hamari Trading Main Sa Fees Aur Commission Charge Karte Hein , Is Extra Fees Ya Commission Ko Hum Broker Commission ( Spread )
Kehte Hein Or Bit/Ask Yani Bit Ka Mtlab Buy Aur Ask ka Mtlab Sell , Bit Aur Ask Kai Between Kai Difference Ko Hum Broker Commission Kehte Hein, Is Ko Term Use Main Spread Kehtay Hein.
for more information visit our site http://residualvision.com
5.How many types of forex?
There Are Two Types Of Forex as Following
01- Currencies EUR,USD,AUD,GPB or Yen
02- Commodities ( Crude Oil,Silver, Gold, Iron And Copper etc etc
6.What is the basics of forex?
3 basics hoti hein forex main
01- Techniqal analysis
( hum log graph ko watch kar kai market ka andaza lagate hein ya hum log graph ko check kar kai watch kar kai predition karte hein kai aagay market kaha ja sakti hai )
Kisi Country Ki Polical News, Kisi Country Ki Weather Report , Unemployement or Employement , Business Deal , Profit Dealing Ya Invention Ki Reports Ko Dhekh Kar Ager Hum Log Future Predication Karte Hein To Uss Ko Hum Log Fundamental Analysis Kehte Hein.
03- Time analysis
Time Ko Analysis Karna Kai Kis Time Per Hum Logo Ko Market Watch Karni Hai , Ya Kis time per Hum Logo Ko Trading KArni Hai, Order Ko Kis Tarha Set Karna Hai. Etc
i.
7.What We Do In Forex ?
Forex Main Hum Kis Tarha Earn Karte Hein Aur Is Ki aik Aur Example Forex Trading Jis Tarha Hum Ne Aap Ko Pehle Samjhaya Kai Currencies Ka Exchange Aur Uss Ki Values Ko Ager Hum Log Decide Karte Hein Aur Uss Per Ager Business Karte Hein To Forex Trading Kehlata Hai, In Other words Ager Hum 2 currencies ka competition karte hein to uss ko hum forex trading keh sakte hein. Forex trading system main humein broker website jahan per hamari forex investment hoti hai wo hum ko aik software daita hai.broker software of forex trading main hamary pass Investment Hoti Hai Wo Software Main Show Horahi Hoti HAi Aur Hamaray Pass 2 way hote hein earning kai Aik Tab Jab Market Graph Uper Ja ay Aur Aik Tab Jab Market Graph Nechay Ja ay.In Ko Bit/Ask Kehte Hein, In Simple Wording Buy/Sell Aur Bullish/Bearish Bi Kehte Hein. In Software We Have Only Buy/Sell , It Means We Have a Pair EUR/USD if we support EUR so we will having to pick Buy Ager Hum USD ko Support Karein Gai To Hum Log Phir Sell Ko Choose Karein GAi.Market Main 3 Points Hote Hein Jo As Following Hein.
01- High
02- Middle
03- Lower
High Point : Jo Uper Ki Taraf Ja ay
Middle : Jis Point sa hum Trading Start Karte Hein Lower: Jo Neechay Ki Taraf Ja ay.
for more information visit our site http://residualvision.com
8.What is trader ?
Wo Shaks jo forex main profitable order lagata hain usko trader kehte hain
9.What is Equity ?
Broker Kai Hold Main Jo Amount Hoti Hai During The Trade After Or During Trading Wo amount Equity Kehlati Hai.
10.What is Order ?
Forex Trading System Main Hamaray Pass Broker Aik Software Daita Hai, Jis Main Hamaray Pass Total Equity Show Horahi Hoti Hai, Total Balance ya Investment ya Hamara Principle ya Capital Show horaha Hota Hai Wo, Hamaray Pass Side Main Left Handside per
Currency Pairs Show horahe Hote Hein Wo Currency Pairs Per Business Ya Work Karnay Kai Liye Hamaray Pass 2 Options Hote Hein Buy/Sell.
Example :
EUR/USD
:BIT/ASK
:BUY/SELL
:LONG/SHORT
Ager hum Ko Eur Ko Support Karna Hoga To Hum Buy Ki Command Choose Karein Gai Ager hum Ko USD Ko Support Karna Hoga To Hum Sell Ki Command Choose Karein Gai Ager Market Graph Uper Ki Taraf Ja ay Ga To Is Ka Mtlab EUR Strong Hai Ager Martket Graph Neechy ki Taraf Ja ay Ga To Is Ka Mtlab USD Strong Hai. EUR Or USD Main Sa Kisi Aik Ko Select Karna ya In Simple Buy or Sell Main Sa Aik Ko Select Karnay Kai Process Ko Order Kehtay Hein.
11.Types Of Order
Instant Order ( Aik Aisa Order Jo Direct Live Market Sa Connect Hota Hai, Aur Wo Order Jo Hum bilkul Instant Kar Rahe Hote Hein )
Pending Order ( Aik Aisa Order Jo Hum Future Kai Liye Book Kar Detay Hein , For Example Ager Market 15 Mints Baad High Hoti Hai To Mera Order Sell Per Fix Hoja ay. Issay Hum Pending Order Kehte Hein.
Classified Order Ager Hum Aik Order Laga Dein Aur Phir Order Kai Darmiyan Uss Ko Change Karna Chahein To Classfieid Order Tool Sa Hum Order Main Changing Kar Sakte Hein,Classified Order Tool Ya Option Broker Software Main Already Hota Hai.Jo Aap Video Class Main Visit Kar Sakte Hein.
for more information visit our site http://residualvision.com
12. .What Is T.P ?
T.P Kai Meaning Take Profit And Close Trading Kai Hein, For Example Ager hum Ne Aik Trade Instant Order Per Laga Di Buy Per To Hamaray Pass Aik Point Hota Hai Kai Maximum Market Kahan Tak Uper Ja Sakti Hai , Wo Andaza He Hota Hai To Uss Point Per Hamari Trade Automatic Close Hoja ay Aur Hamara Profit Wahan Tak ja Kar Auto Per Hum Ko Mil Ja ay Uss Ko hum T.P Kehtay Hein.
13.What is stop loss?
yeh apkay nuksan ko control karti hain.misal k tor pai apnay ik order 1.2000 k rate pai buy kia or aap chahte hain k agar market apkay oposite site hojae to apko zyada nuksan na ho or yeh trade yani order band hojae automatically.
14.What Is Swap ?
Swap Aik Interest Yani Soodi Account Hota Hai To Jo Log Muslim Hote Hein Wo Swap Free Account Use Karte Hein,Jo Kai Broker Website Pehle Ask Karti Hai During Sign Up.
15.What is pip or point?
pip k lafzi means percentage in point ya price interest point hai.forex mai pip sai murad kisi bhi currency ki kemat main honay wali sub sai kam changing hai.pip ko point bhi kaha jata hain.
16.What is pivot point?
pivot point aaj ki market k center point ko boltay hain jaisay k market k middle point kia hain.
17.What is breakout?
Breakout market k turning point ko kehte hain jese k up ka trend chal raha hain to wo phr sell pai jane lage to usay breakout kehte hain.
18.What is scalping?
Scalping buhat kam time k lye ordr lagane ko kehte hain k jaise apne koi ordr lagaya or apko thora sa bhi profit hogaya or apnay usko close kardia to is tarha kam karnay k tarike ko salping kehte hain.
19.What is spread?
Buy or sell k darmyan k farak ko spread boltay hai jo k broker ka profit hota hain har broker k alag alag spread hotay hain.
20.What is long or short?
Forex main long buy order ko or short sell order ko boltay hain
for more information visit our site http://residualvision.com
21.What is lots?
Lots kisi bhi order k size ko boltay hain k jese apko ik pip pai kitna profit hona chahye or kitna loss yeh hamare upar depend karta hain k hum order lagate waqt kia lots ya size rakhe.
22.What is leverage?
Leverage k asan meaning yeh hain k jab hum kisi bhi currency k sell or buy ka order daite hain to is order k lye broker sai kite % karaz le sakhte hain,har broker k mukhtalif leverage hotay hain koi apko 1 dollar k badlay main 100$ daita hain to koi 1000$.
23.What is margin or free margin?
Margin us amount ko kehte hain jo apki use horahe hain order main jese k ap[kay 2 order lage huye hain to us main apki jitne bhi amount lage hogi us order main usko margin bolegay or free margin wo amount hoti hain jo hamare paas baki hoti hain.
Regards:
Sir Tanveer Hussain Shah(MD)
Syed Noman Jaffery(Forex Trainer)
Mawaz Bin Sami(Forex Trainer)
Office address
m1 to m6 mumtaz mobile mall block 2 1st flor near moti mehel gulshan-e-iqbal
for more information visit our site http://residualvision.com